Namaz Time Namaz Rakats Namaz Ki Niyat
Assalamu alaikum brothers and sisters
Aaj hum janege or sikhenge:
1. Namaz ka time kab se kab tak hota hai
2. Kis time ki namaz mai kitni namaz rakat hoti hai3. Niyat kya hai or Namaz ki niyat kaise karte hai
Importance of Namaz
Namaz Islam darm mai sabse afjal or jaruri ibadat hai. Namaz ko aada karne ke liye Allah ne Quran hukm diya hai" Namaz Aada Karo"or " 700 baar Salah(Namaz) word Quran mai aaya hai. Allah Quran mai irshad farmata hai "Namaz be-hayayi or buri baato se rokti hai". or Allah ke sabse pyare rasool Muhammad Sallalhu ahlaihi Wasallam ne bhi kaha ki " Ae musalmano namaz ko aada karo " or kaha ki "Namaz meri ankhon ki dhandak hai" or Muhammad Sallalhu ahlaihi Wasallam ne farmaya "Hasr ke maidan mai sabse pehla sawal namaz ke bare mai kiya jaiga". Muhammad SAW irshad farmate hai "Namaz jannat ki Chabi hai,or Wazu namaz ki Chabi hai". Namaz Islam darm ka doosra pillar hai 5 pillars mai se.Islam darm mai muslim din mai 5 baar namaz aada karte hai. In 5 baar namaz aada karne ke time ko fajr, Zuhr, Asr, Maghrib and Isha kaha jata hai.
Namaz Time / Namaz Ka Time
Fajr ka time subhah ka suraj nikalne se pehle pehle ka hota hai or agar ghadi(watch) ke anusar samjha jaye to India mai IST(Indian Standart Time) 4:30 a.m - 6:15 a.m. tak garmiyo or 5:00 a.m - 7:00 a.m tak sardiyo mai hota hai. par mosam change hone ki wajah se din or raat chhote or bade hote rehte hai. isliye sabse sahi tarika ye hai Islam darm ke anusar ki " suraj nikalne se pehle ka waqt Fajr ka waqt hota hai". or es waqt jo namz aada ki jati hai usse Fajr ki namaz kehte hai.Zuhr ka time normally Dopehar(Afternoon) mai hoto hai agar watch ke anusar samjha or dekha jaye to ye 12:30p.m - 2:00p.m. tak ka time hota hai. or es waqt jo namz aada ki jati hai usse Zuhr ki namaz kehte hai.
Asr ka time Dopehar or Sham ke bech ka time hota hai or ye normally Watch ke anusar 4:30p.m - 5:30p.m tak ka time hota hai.or es waqt jo namz aada ki jati hai usse Asr ki namaz kehte hai.
Maghrib ka time Sham ke waqt hota hai or watch ke anusar 6:30p.m - 7:30p.m tak hota hai or es waqt jo namz aada ki jati hai usse Maghrib ki namaz kehte hai.
Isha ka time Raat ko 8p.m - 9p.m tak hota hai.or es waqt jo namz aada ki jati hai usse Isha ki namaz kehte hai.
Namaz Rakats / Namaz in Rakat
Fajr ➡➤ 2 rakat sunnat, 2 rakat farzZuhr➡➤ 4 rakat sunnat, 4 rakat farz, 2 rakat sunnat, 2rakat nafl
Asr ➡➤ 4 rakat sunnat, 4 rakat farz
Maghrib ➡➤ 3 rakat farz, 2 rakat sunnat, 2 rakat nafl
Isha ➡➤ 4 rakat sunnat, 4 rakat farz, 2 rakat sunnat, 2 rakat nafl, 3 rakat witr, 2 rakat nafl
Jumma➡➤ 4 rakat sunnat, 2 rakat farz, 4 rakat sunnat, 2 rakat sunnat, 2 rakat nafl
![]() |
| Namaz Rakats |
Namaz Ki Niyat
Namaz ki niyat janne se pehle ye jaan lete hai ki niyat kehte kisko hai. to iska jabab hai, niyat kehte hai pakke erade ko. ab jaan lete hai ki namaz ki niyat kaise karte hai. niyat karne se pehle pata hona chahiye ki:
1. kitne rakat namaz padhni hai (2 ya 4 rakat)
2. konsi namaz padhni hai ( Sunnat, Farz, Nafl, Witr)
3. kis waqt ki namaz padhni hai (Fajr, Zuhr, Asr, Maghrib, Isha)
Abhi ke liye hum ye maan lete hai ki hume 2 rakat namaz Sunnat padhni hai or waqt maanlete hai ki fajr ka hai or hume akele namaz padhni hai tab hum niyat karenge:
" Niyat ki maine 2 rakat namaz Sunnat, waqt fajr ka, baaste Allah ke, muh mera kaba sharif ki taraf, Allahu-akber "
Agar aapko masjid ke Imam ke picche Farz namaz padhni hai to niyat es tarah se kare:
" Niyat ki maine 2 rakat namaz farz, waqt fajr ka, Baaste Allah ke, picche es Imam ke, muh mera kaba sharif ki taraf, Allahu-akber "
Agar kabhi aapki namaz chhot jaye kisi wajah to us namaz ko kaja namaz kehte hai or kaja namaz ki niyat es tarah kare:
" Niyat ki maine 2 rakat namaz farz kaja, waqt fajr ka, baaste Allah ke, muh mera kaba sharif ki taraf, Allahu-akber "
Jumme ki namaz ki niyat es tarah se kare:
" Niyat ki maine 2 rakat namaz farz, waqt Zuhr ka, baaste Allah ke, picche es Imam ke, muh mera kaba sharif ki taraf, Allahu-akber "
Ques- Agar niyat nahi ki to kya namaz ho jaigi?
Ans- Yes, aapki namaz ho jaigi kyuki niyat dil ke erada ko kehte hai, agar aap dil mai erada karle ki mai namaz padh raha hu to namaz ho jaigi , par aap apni jubaan se kehle to or bhi behtar hai.
Ques- Kya hum wo namaz padh sakte hai jo humse bahut mahino ya salo pehle chhot gayi ho?
Ans- Yes, aap wo namaz padh sakte hai jo aapse mahino ya salo pehle chhot gayi ho, us namaz ko kaja-e-umri kaha jata hai. aap kaja-e-umri namaz ko aada kar sakte hai.
Ques- Kya jumme ki kaja namaz padh sakte hai?
Ans- No, jumme ki kaja namaz nahi padh sakte, agar aapse jumma chhot jata hai or pass me koi dusri masjid bhi na ho ya fir dusri masjid mai jumme ki namaz ho chuki ho, tab es condition mai aapko aam din ki tarah Zuhr ki namaz aada karni hogi.
Agar aapka ko koi sawal ho to aap niche comment karke puch sakte hai.



No comments:
Post a Comment